Sar jalayen gay roshni ho gi
,
Us ujalay men faislay hongay
,
Roshnai b khoon ki ho gi.....
Ur wo faqa kash qalam jis men
..
Jitni cheekhon ki dastanen hen,
Un ko likhnay ki arzoo ho gi
, !!!
Na he lamha qarar ka ho ga,
Na he rasta farar ka ho ga
,
Wo adalat gareeb ki ho gi
,
Jaan atki yazeed ki hogi
,
Aur phir aik faqeer ka bacha
masnadon par bithaya jaye ga
,
Aur tarazoo k dono palarron men
...
Surkh lamhon ko tola jaye ga
,
Saabqa hakmeen hazir hongy......
Naam aur wald bola jaye ga
,
Jo yateemon ki taraf uthy thay
Aisay hathon ko tore dalen gay,
Aur jisnay rondi gareeb ki asmat
Us ki gardan maror dalen gay
,
Jis ne bechi hai qalam ki taqat
,
Jis ne apna zameer becha ,
Jis ne apna zameer becha ,
Hai
jo dukanen sajaye bethay hen,
Sach se daman churaye bethay hen,
Jis ne becha azaab becha hai
,
Muflison ko saraab becha hai,
Dil ko be hisaab becha hai,
Kuch ne roti ka khawab becha hai
,
Ab kis tarah kahen k ...